Feeds:
Posts
Comments

Archive for August, 2010

Safar

Meri mushkilon ko janoge to khud ko aaine ke samne khada paoge,
Aaj ka ghamasaan yuddh aane waale kal ka andhera sa lagta hai,
Kareeb se dekhoge shann-shann ko to sochoge yeh main hi to hoon,
In sab khayalon se khud ko door nahin paoge.

Lambe raaste hain tai kiye ke manzar tak ab pahuncha hoon,
Har muquaam pe jaamo ka tha sarsara phir bhi pyaas bujhti nahin,
Apni manzelein dekho kuchh gaur se,
Mere chale raaston main kahin apne raaste bhi paoge.

Thahar jao is waqt, ke hum sab hain yahin kahin,
Aaine ke is paar ya us paar, chal rahin hain ek si zindigiyan,
Vahin saansein hai, vahi muddedatein, jitni door talak dekh paoge,
Is lambe safar mein yeh tum ho ya main ho, sab mein khud ko hi paoge!

Read Full Post »