Kavita likhta hoon main,
Phir bhi kavi kehlata nahin,
Hazaron lafz hai likh chuki meri kalam,
Unhi lafzon mein dab gayi pehchaan meri,
Phir bhi main ruk paata nahin
Bahut se khayalaat bayan kar chuka hoon main,
Bade, chhote aur doston mein bat chuka hoon main,
Subah ko likhe akshar shaam ko ojhal ho gaye,
Phir bhi maathe par shikan dikhata nahin
Zamana padh sake meri zubaan,
Is firaq mein hoon ab bhi likh raha,
Har manzar par mere lafzon ke hoonge chiraag,
Is bar Dekho mujhe koi dhoondh pata hai ya nahi
Leave a Reply