Dastak do is darwaaze par
Dekho andar kaun rehta hai,
Lakhon dhadkane tumhe sunayee dengi
Kuchh muskurahate bhi dikhayi dengi,
Ek kone mein hogi yaroon ki mehfil
To doosre mein parivaron ki jamghat
Apnepan ka samandar jaise behta hai.
Sanskaar aur prathayein ab bhi hain kayam
Vishwaas har insaan ki hai ummeed,
Takrar thodi si hain deewaaron main
Fir bhi pyaar hai parivaron mein.
Bacchon ki kilkariyan hain goonj rahi
Aane wale sapnon ki jhalak dikhlati hamen,
Ujjwal Bhavishya ki kirnen jagmagati hai
Hazaron ummeedon ki kahanian sunaati hamen,
Shan Shan mein suno to sangeet behta hai,
Phir jhaank kar dekho andar
Yahan aur koi Nahi par mera desh rehta hai,
Sun lo mere yaron
Aisa ab kavi kanchan kehta hai.
@kanchan
Leave a Reply